Belgagra Machhli , Bhoot Pret Ki Kahaniyan

 Belgagra Machhli , Bhoot Pret Ki Kahaniyan.

Ek aisi machhli jo kisi ka jaan tak le sakti hain. Bhoot pret jaisi kahaniyon ke shikhkar me. Aaj main aap ke samne ek aisa hi kahani le kar aaya hoon. Jo ki bhoot pert se sambandhit hain. Jo ki ek machhli ke prajati par adharit hain.

Belgagra machhli jo ki bahut hi khatarnak kism ka machhli hota hain. Jise pakadne ke chakkar me kisi ki jaan tak ja sakti hain. Us machhli ki banawat hi aisi hoti hain ki wo aasani se kisi ka jaan le sakti hain. Belgagra machhli. Jo ki kisi nadi ya talab me paya jata hain. Ye nadi ka machhli hain. Prayah ye machhli nadi me milta hain. Ye bahut hi kimti machhli hota hain.

Bazar me bhi ye bahut hi kam milata hain. Kyu ki ise pakad pana matlab jaan jokhim me dalna. Bahut baar aisa hua hain ki ise pakadne wala aadmi ya machhuara mara jata hain. Ise pakad pana risk ka kaam hain. Phir bhi machhli pakdne wale ise pakdne ka risk utha hi lete hain. Ek aisa machhli jo khooni hain.

Belgagra machhli nadi me bane hue bil ke andar rahti hain. Nadi ke andar duban me apna bil banati hain. Nadi me jaha chikna jagah hota hain. Ye machhli wahi par apna bil banati hain. Ise pakadne ke liye iske bil ke andar haath dalna padta hain. Iska bil sirf itna bada hota hain ki sirf ek hi aadmi ka ek haath bil ke andar daal sakta hain.

Ye pani ke gahrai me apna bil banati hain. Isliye ise pakdne ke liye pani ke andar utarna padta hain. Jis kaam ko anjam dene ke liye do aadmi ki jarurat padti hain. Ek aadmi pani ke andar utarta hain. Aur dusra aadmi pani ke bahar intejar karta hain. Jo aadmi ya muchhuara pani ke bahar rahta hain. Uske haath me ek tej chaku rahta hain. Agar pani me dube huye. Aadmi ko bahar nikalne me thoda bhi der hua ki bahar wala aadmi pani me chhalang laga deta hain.

Wo chhalang laga kar pani ke andar chala jata hain aur apne sathi ka hathi kaat kar uski jaan bachata hain. Nahi to pani me dubne ke karan uski jaan ja sakti hain. Belgagra machhli bahut hi khatatnak hota hain. Ye nadi ke jis hisse me apna bil banati hain. Wo hissa pani ke andar hota hain. Ye machhli bahut hi chalak hoti hain. Is machhli ke sharir me teen kaante hote hain. Do kaante iske dono pakhuri me aur ek kaanta iske bich wale hisse me. Jo ki blade se bhi tej hota hain.

Iska bil bhi kuchh ajab tarike ka hota hain. Ek sidha lamba bil aur usi bil me aadhe se ek aur bil hota hain. Jis me machhli rahti hain. Jaise hi koi apna haath sidhe bil ke andar dalta hain. Ye dusre bil se uske upar hamla kar deti hain. Ye apna kaanta uske haath me puri tarah se chubho dete hain. Jis se machhli pakadne wale ka hath bil ke andar phas hain. Aur bahar nikal nahi pata hain.

Jis karan machhli pakadne wala aadmi pani me doob kar marr jata hai. Dube hue aadmi ka jaan bachane ke liye. Sirf ek hi rasta hain. Wo ye ki machhli pakdne wala aadmi ka haath kaat diya jaye. Haath kaat kar hi uski jaan bachai ja sakti hain. Belgagra machhli bahut hi khatarnak machhli hoti hain. Ek kahani usi belgagra machhli ke upar hain.

Jo main aaj yahan likh raha hoon. Ek baar ki baat hain ek pita aur ek uske sath chhota sa bachcha kahi se apne ghar wapas aa rahe the. Us ladke ke pita ne bahut daru pi rakhi thi. Dono cycle se apne ghar ki taraf ja rahe the. Wo nadi ka rasta tha. Nadi ke rasta se hote hue apne ghar wapas aa rahe the.

Ek jagah aa kar wo apna cycle roka aur apne beta se kaha ki tum yahi par ruko main belgagra machhli ko pakad kar aata hoon. Main nadi ka machhli pakadne ja raha hoon. Itna kah kar wo apna cycle stain par lagaya aur nadi ke andar utar gaya. Wo ek to daru piye hue tha. Aur use hoss wa hawash bhi nahi tha. Duban pani ke andar utar kar belgagra machhli pakadne laga.

Nadi me pani bhi bahut tha. Wo pani ke andar chala gaya. Pani ke andar ja kar belgagra machhli pakadne laga. Par bahut der tak machhli pakadne ke baad bhi wo pani ke upar nahi aa paya. Jab bahut der tak pani ke upar nahi aaya to nadi ke upar khada uska ladka rone laga. Bahut der tak wo us jagah khada ho kar rota raha. Ek raah gir usi raste se ja raha tha. Usne us ladke se puchha ki beta tum yahan akele khada ho kar kyu ro rahe ho. To wo ladka bola mera pita ji nadi ka machhli pakadne ke liye nadi utre par wo wapas nahi nikle.

Bahut der ho gaya par wo belgagra machhli pakad kar wapas nahi aaye. Us raahgir ko shaq hua. Ki jarur iska pita ji nadi me dub kar mar chuka hoga. Us jagah se thodi hi duri par gaon tha. Wo gaon me gaya aur kuchh aadmiyon ko bula laya. Gaon ke kuchh aadmi aaye aur us bachche se puchhe ki kya hua. To wo bachcha phir se bola ki mere pita ji belgagra machhli pakadne nadi me utre.

Par ab tak nahi nikle. Gaon ke do char aadmi nadi me chhalang maar kar nadi me utar gaye. Jis jagah wo ladka bataya tha ki uska pita yahan par utre hain. We sabhi usi jagah uske pita ko khoje. Kuchh hi der me us aadmi ki laash wahan par mil gai. Us ladka ka pita nadi me dub kar marr chuka tha. Uske laash ko nadi se bahar nikala gaya.

Par sabhi ye dekh kar hairan the. Ki agar ye aadmi belgagra machhli pakdne nadi me utara tha. To iske haath me kahi bhi kata ya phir phata ka nishan nahi hain. Sabhi soch me pad gaye kyuki belagara machhli nadi ka aisa machhli hota hain. Jo apna kanta shikari ke haath me phasa deta hain. Par aisa kuchh bhi nahi hua.

Par sabhi jante the ki bahut saal pahle ek machhuara nadi ka machhli pakdne ke liye isi jagah utra tha. Jiski maut belgagra machhli ke karan ho gaya. Wo belgagra machhli ke bil me haath daal diya tha. Bahut se logo ne us machhuara ko nadi ke paas bhatakte hue dekha tha. Jo ki ek bhoot ban chuka tha. Ye kaam usi bhoot ka ho sakta hain jo nadi ka machhli ka lalach de kar us ladke ke pita ko pani me dubo diya.