Kabr Ka Mitti , Indian Ghost Story

 Kabr Ka Mitti , Indian Ghost Story.

Ek baar main aur mera dost kahi ghumne ke liye gaye hue the. Ham sabhi ek hi room me rahte hain. Main yahan padai karta hoon aur apne doston ke sath hostel me rahta hoon. Hamne kahi ghumne jane ka plan banaye aur apne hostel se bahut dur ghumne bhi gaye. Ham sabhi doston ke paas mobile bhi tha. Ham jahan bhi ghumte us jagah ka photo khich lete. Salfie lene ka saukh tha.

Apna aur apne doston ka photo khich kar social media me use karna tha. Isliye achchha achchha pose de kar photo khichte. Mujhe bhi photo khichne me bahut maza aa raha tha. Baki ke mere jitne dost the we sabhi bhi apne mobile se photo khich rahe the. Ham sabhi ghumte ghumte ek bagicha me pahuche. Wahan par bahut se phool ke paudhe the. Jis me tarah tarah ke phool khile hue the. Kuchh der tak ham sabhi bagiche me pose dete hue phool ka photo khiche. Usi bagiche ke alag side me ek grave yard tha. Grave yard jo ki bahut purana tha. Ham sabhi dost us grave yard me pahuch gaye.

Kabristan ke andar pahuch kar har kabr ka photo khichne lage. Koi kabristan me jo kabr tha uske side me khada ho kar photo khichta. To koi kabr ke upar sar rakh kar. Ham sabhi bahut der tak wahan par enjoy kiye. Jab sham hua to ham sabhi wahan se wapas aane ka faisla kiye. Hostel me pahuch kar kuchh der tak idhar udhar ka baat kiye aur raat ka khana kha kar so gaye. Jab raat ke samay mujhe gahri nind aa gai to mujhe ajib ajib se sapne aane lage.

Aisa laga ki koi sapne me aa kar mujhe dara dhamka raha hain. Uski shql bhi bahut bichitra tarah ka tha. Mujhe sapne me baar baar wo kabristan hi dikh raha tha. Aisa lag raha tha ki us kabristan ke paas koi hain jo mujhe baar baar bula raha hain aur mujh se bol raha hain. Ki tumhare dost ne jis chij ko yahan se utha kar le gaye hain use wapas karo. Nahi to tumhe iski bahut bhadi kimat chukani padegi. Sapne me aisa laga ki kabr ke samne koi aadmi khada hain aur wo mujhe dara dhamka raha hain.

Main kuchh samajh nahi paya. Andar hi andar bahut ghabrahat si hone lagi. Main bahut bechain ho gaya aur darr se meri nind toot gai. Raat ka andhera tha. Charon taraf khamoshi aur darr se main pasine pasine ho chuka tha. Jiska andaja laga pana bahut muskil tha. Ab itni raat gaye main karu to kya karu kuchh samajh me bhi nahi aa raha tha. Sabhi ladke so chulke the. Ek room me ham do ladke raha karte the. Mujh me thoda hausla tha kyu ki mere bagal ke bistar par mera dost soya hua tha. Phir bhi main us raat bahut darr chuka tha.

Thodi der tak jagne ke baad. Main socha ki chalon phir se so jata hoon. Main sone ka soch kar phir se sone ki koshish karne laga. Par ab mujhe nind kahan aane wali thi. Kisi tarah karwat badal badal kar pura raat kaat diya. Jab subah hua to hi mujhe thoda chain mila. Main us raat bahut darr gaya. Subah college ka tayyari ho kar college chala gaya. Sham ke samay jab college se aaya to maine is baat ka jikr apne doston se kiya ki maine raat me bahut darawna sapna dekha.

Maine apne dost se bataya ki jis kabr ke paas ham sabhi photo khuch rahe the. Us kabr ke paas koi aadmi khada tha. Wo mujhe baar baar bol raha tha ki mera koi saman tumhare paas hain. Tum mere saman ko mujhe wapas karo. Mera to samajh me nahi aa raha hain ki ham koun sa chij wahan se le kar aaya hain. Bas kuchh photo hi to khiche the aur koi chij to wahan se le kar nahi aaya hain. Meri baaten sun kar mere dost bole ki ho sakta hain tumhe koi waham ho gaya hoga.

Tumhare dimag me kabr ka photo sama gaya hoga. Jis wajah se tumhe darawane sapne aaye honge. Main bhi ise waham matr samajh liya. Phir raat hui aur main raat ka khana kha kar so gaya. Jab aadhi raat hui to mujhe phir se darawane sapne aane lage. Phir se main sapne me us aadmi ko dekha jo kabr ke paas khada tha. Wo aadmi phir se mujhe bolne laga ki tumhare paas kabr ki mitti hain. Tum use wapas kar do. Nahi to tum bahut badi musibat me phash jaoge.

Mujhe pata tha ki Maine ya mere kisi dost ne kabr se koi chij nahi uthaya tha. To phir ye aadmi mujh se kabr ka mitti kyu mang raha hain. Maine to kabr ke paas se koi mitti nahi li thi. Par wo darawana aadmi mujhe baar baar darane laga aur bolne laga ki mere kabr ka mitti tumhare paas hain. Tum us mitti ko wapas karo nahi to main tumhe nahi chhodunga. Us aadmi ka darawana shaql mere dimag me ghumne laga.

Main soch nahi paa raha tha ki ye aadmi koun hain aur mujh se kabr ka mitti kyu mang raha hain. Jab ki maine kisi ke kabr se koi mitti nahi li thi. Main us raat phir se bahut darr gaya aur apne bistar se jag gaya. Raat ke samay mujhe darr lagne laga. Jab ki mera dost mere bagal wale bistar par hi soya hua tha. Phir bhi mujhe darr lag raha tha. Aadhi raat ka samay bhi bit chuka tha. Us raat bhi main jaise taise pura raat jag kar bita diya. Ab mujhe nind kahan aane wali thi. Subah maine apne doston se ye baat bataya par kisi ko meri baat par bishwash nahi hua.

Phir se raat hui aur main so gaya. Wahi sapne mujhe roj aane laga ki koi mujh se apne kabr ka mitti mang raha hain. Par meri samajh me nahi aa raha tha ki maine kab kiske kabr se koun sa mitti chori kiya hoon. Wo aadmi mujhe darata aur yahan tak ki jaan se marne ka bhi dhamki deta. Par main to in sabhi baaton se anjan tha. Kyu ki mujhe pata tha ki kabr ka mitti mere paas tha hi nahi. Raat bhar main so nahi pata aur kisi ko meri baat par yakin bhi nahi hota. Ab to mujhe din me bhi darr lagne laga. Ek roj ki baat hain. Main apna college ka padhai pura kar ke wapas apne hostel ja raha tha. Us waqt mere sath koi nahi tha. Main bilkul hi akela tha.

Tabhi kisi ne mujhe pichhe se aawaj diya. Aisa laga ki koi mera naam le kar mujhe pukar raha hain. Main aawaj sun kar ruk gaya aur jaise hi pichhe mud kar dekha to mera hosh hi udd gaya. Wo jo aadmi mere sapne me aa kar mujhe dara raha tha dhamka raha tha. Wo bilkul mere samne khada tha. Use dekhte hi khud par yakin kar pana muskil ho gaya. Main to bahut darr gaya. Wo aadmi mere paas aaya aur mujhe daat te hue bola. Ki main tumhe kitne dino se samjha raha hoon ki mere kabr ka mitti mujhe wapas kar do. Tum ho ki samajh hi nahi rahe ho. Mera kabr ka mitti mujhe de do nahi to tum mare jaoge.

Main ek to darr chuka tha par darte hue hi us se puchh diya. Maine us se bola ki main tumhare kabr ka mitti le kar nahi aaya hoon. Mujhe to pata bhi nahi hain ki maine kabristan se kuchh liya hain. To wo aadmi bola ki tumhare dost ne mere kabr ka mitti chori kiya hain aur use tumhare bistar par takiye ke niche ek kagaj me lapet kar rakh diya hain. Tumhe us mitti ko mere kabr tak pahuchana hain. Us aadmi ne mere dost ka naam bhi bataya jisne kabr ka mitti chori kiya tha. Ab sara majra mere samajh me aa gaya. Itna kah kar wo aadmi bhi gayab ho gaya.

Main apne room me pahucha aur apne dost ko bahut data aur bola ki aaj ke baad kabhi bhi aisa majak kisi ke sath mat karna. Is tarah ke majak se kisi ki jaan tak ja sakti hain. Maine apna bistar utha kar dekha to think mere bistar ke niche mujhe ek kagaj me lipta kabr ka mitti mil gaya.

Main us mitti ko le kar sidhe phir se kabristan chala gaya aur mitti ko kabr ke paas rakh kar wahan par us se mafi manga aur wapas apne hostel chala aaya. Agar mujhe pata nahi chalta ki kabr ka mitti kahan rakha hua hain. To mera jaan tak jaa sakta tha.